nari shakti agar nashe ki girapht mai aa gayi to hamare desh ka bhavi bhavishy kaisa hoga , kya hoga .ye gambhir chintan ka vishay hai , aadhunik jivan shaili bhi kitani tej,daudati-bhagati si ho gayi hai kisi ko kisi ki sudh lene ka samay nahi hai .pariwar ke sadasy ek dusare se ek ghar mai rahate huye bhi mil nahi paate. jeevan tanav se bhara huwa hai har ek ko aage badane ka tanav, har sukh udhane ka tanav,aise mai tanav ko dur karane ke liye saral va sasta upay cigrett aur sharab ka sevan jise kuchh had tak saamaajik svikrti bhi mil gayi hai aur aisi vajah se mahilaoo mai bhi isaka chalan badhata ja raha hai .
isake alava mahilaoo me nashe ki badhati prvarti ko phailane mai bahut bada yogdan filmo,prchar maadhayamo me cegrett tambacoo ka sevan dikhaya jana hai,jisse yuwa hoti kishoriya jyada prabhavit hoti hai, filmabhinetri dvara cigarett sharab ka filmo me pryog karana aur unki nakal kar , unaka jaisa banne ki tammana rakhana yuvatiyo ko nashe ki or le ja raha hai.
nashe ki badati pravarti ko baava dene ka dusara sery tambacoo va sharab utpadan karne vaalo ko jata hai , ve janate hai vartaman mai nasha karane wale unake garhak [prti varsh 50 lakh se jyada] maut ke muha mai chale jayege phir unake utapad ko kon kharidega, unaki talash naye grahak ke rup mai bachche aur mahilaoo par hai. jisake liye ve pralobhan yuakt prataksh- paroksh vigyapano ka sahara leti hai .in tambacoo sharab utpaadako ne prlobhan ka nayab tarika nikala hai ki shepiyan to sharab nahi khushiya mananeka ek madhyam hai aur mahilao ke liye kam tambacoo yukat cigarett bhi hai ,in utpaadako ko to apne laabh se matalab hai desh ya samaj se kya lena dena.
nashe mai tambacoo ,kheni bidi, tambacoo yukt pan masala ,gutaka aur sharab aadi ka nimn aay varg ki mahilao me bahutayata se prachalan badata ja raha hai . iski vajah bhi hai ,is varg ko is baat ki chinta bhi nahi,ki samaaj kya kahega, khud ka svasthy kharab hoga,dant,muha kharab ho rahe hai ,koee chinta nahi, roj kamaya aur khrach kar diya. insab baato ki vajah agyanata ashiksha ya samaaj se upeksha ya kuchh or, par mahilaoo mai nasha bahutayata se prachalit ho raha hai.
madhyam varg ki mahilao mai nashe ne apni jadhe nahi phela paayi hai kyuki yahi wo varg hai jise bhartiy pramparao maanyataoo aur samaj ki chinta hai shaayadisiliye ab tak mahilaye is buraee se khud ko aur apne bachchho ko bachaye huve hai samaaj mai abhi tak reeti rivaj kaayam hai.
rahi baat uchcha varg ki,to unake liye tambacoo sharab utpaadako ne khas kam tambacoo yukt cigarett kam ailkohal ki sharab mahilao ke liye banane ka vigyapan prataksh- paroksh rup maibanaya hai .uchcha varg ki mahilao ne bhi ise stetas simbal maan kar apna liya aur aaj uchcha varg ki mahilao mai nashe ne apni jadhe gahari jama li hai.
uchcha varg ki nakal mai saamaany varg ki mahilaoo khas kar kishoriyo par iska gambhir
asar pada ve bhi ise pheshan ki tarah apne jivan mai apna bhi rahi , unme cigarettsharb ka chaln shuru ho raha hai
mahilaoo mai badati nashe ki prvrti ka mul karn sayuakt pariwar ka bikhrav, ghar mai bade bujurgor ka samman n hone se pariwar mai sashkt sanrksh ka aabhav , ekal pariwar ka badhta chana , pariwar ki khushhaalee ke liye maataa- pita dono ka nokari peshaa hona ,bchchho, khas kar yuwa hoti kishoriyo par kam dhayan de paanaa , unhe shi galat ki pahachan bataane wala bada bujurg ghar mai na hona. ye sabhi baate samaaj ko patan ki aur le ja rahi hai.
samay rahateham sachet hote hai aur is samsya par dhayan dete hai tabhi savsth samaaj aur savasth desh ki pari kalpana saakar hogi.
jay bharat, jya hind
सोमवार, 26 मई 2008
मंगलवार, 20 मई 2008
nari tari ye hi jindagani
नारी को हमेशा विवादों रखना शायद पुरुष समाज कि जाने क्या मजबुरी है. कोन नहीं शुकुन से जीना चाहता चाहे वो नारी ही क्यों न हो .जब नारी घर से बाहर रोजी रोटी के लिए जाती है तब उस कि जिंदगी दोहरी और ताकन से भरि होती है क्यों कि घर आकर तो उसे ही घर कि सभी जिम्मेदारिया निभानी पड़ती है .खुद उस का जीवन इनसब में खो जाता है सारी जद्दो जाहत घर कि लिए होती है और बदले में उसे क्या मिलाता है उपेक्षा त्रिस्कर ,व्यग समाज का पर ममता कि मरी फिर भी खटतीहै और एक दिन खर्च होजाती है चली जाती है खामोशी से
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ (Atom)